dast-e-wahshat mein gareban sa hun
dast-e-vahshat meñ garebān sā huuñ
kuchh dinoñ se maiñ pareshān sā huuñ
kah rahā hai ye tirā husn-o-jamāl
'ġhālib'-o-'mīr' kā dīvān sā huuñ
aur kuchh der mire saath raho
aur kuchh der kā mehmān sā huuñ
ruuh kahtī hai ki ilzām na de
jism kahtā hai ki be-jān sā huuñ
sūrateñ dekh rahā huuñ 'nashtar'
misl-e-ā.īna huuñ hairān sā huuñ
dast-e-wahshat mein gareban sa hun
kuchh dinon se main pareshan sa hun
kah raha hai ye tera husn-o-jamal
'ghaalib'-o-'mir' ka diwan sa hun
aur kuchh der mere sath raho
aur kuchh der ka mehman sa hun
ruh kahti hai ki ilzam na de
jism kahta hai ki be-jaan sa hun
suraten dekh raha hun 'nashtar'
misl-e-aina hun hairan sa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.