dast mein kis ke aai hai duniya
dast meñ kis ke aa.ī hai duniyā
ho ke apnī parā.ī hai duniyā
haath aanī nahīñ hai ye phir bhī
zehn par sab ke chhā.ī hai duniyā
ye alag hai hamārī āñkhoñ ko
aap ne jo dikhā.ī hai duniyā
vo hī avval hai vo hī hai āḳhir
dost jis ne banā.ī hai duniyā
dekhnā hashr meñ vo ro.egā
'tāj' jis ne kamā.ī hai duniyā
dast mein kis ke aai hai duniya
ho ke apni parai hai duniya
hath aani nahin hai ye phir bhi
zehn par sab ke chhai hai duniya
ye alag hai hamari aankhon ko
aap ne jo dikhai hai duniya
wo hi awwal hai wo hi hai aaKHir
dost jis ne banai hai duniya
dekhna hashr mein wo roega
'taj' jis ne kamai hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.