dastane mein sang hai baba
dastāne meñ sang hai baabā
farzānoñ kī jang hai baabā
soch kā darpan zang-ālūda
man kā manzar tang hai baabā
hasrat-e-ḳhāk hai parvāne kī
armāñ ek patang hai baabā
har chehra dushman lagtā hai
ā.īnoñ meñ zang hai baabā
jo gulshan yak-rang sarāsar
vo gulshan be-rang hai baabā
'sayyad' ko shā.ir kahte haiñ
vo to ek malang hai baabā
dastane mein sang hai baba
farzanon ki jang hai baba
soch ka darpan zang-aluda
man ka manzar tang hai baba
hasrat-e-KHak hai parwane ki
arman ek patang hai baba
har chehra dushman lagta hai
aainon mein zang hai baba
jo gulshan yak-rang sarasar
wo gulshan be-rang hai baba
'sayyad' ko shair kahte hain
wo to ek malang hai baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.