dastar bahut roi dinar bahut roya
dastār bahut roī dīnār bahut royā
jab daam lage mere bāzār bahut royā
kuchh bhī na huā hāsil be-kār bahut royā
jab hosh meñ aayā to mai-ḳhvār bahut royā
muñh-zor talātum ne chhoḌā na safīne ko
jab bas na chalā koī patvār bahut royā
ham ne to sanam terī chup-chāp parastish kī
lekin ye dil-e-bismil har baar bahut royā
tahrīr meñ jab us ne ḳhud apnī numā.ish kī
dekhā ye tamāsha to aḳhbār bahut royā
vo aa.e tasallī ko kyā ḳhuub 'ināyat kī
jab chain milā dil ko bīmār bahut royā
phūloñ ne to hañs hañs ke bas zaḳhm diye mujh ko
par dekh mujhe zaḳhmī har ḳhaar bahut royā
dastar bahut roi dinar bahut roya
jab dam lage mere bazar bahut roya
kuchh bhi na hua hasil be-kar bahut roya
jab hosh mein aaya to mai-KHwar bahut roya
munh-zor talatum ne chhoDa na safine ko
jab bas na chala koi patwar bahut roya
hum ne to sanam teri chup-chap parastish ki
lekin ye dil-e-bismil har bar bahut roya
tahrir mein jab us ne KHud apni numaish ki
dekha ye tamasha to aKHbar bahut roya
wo aae tasalli ko kya KHub 'inayat ki
jab chain mila dil ko bimar bahut roya
phulon ne to hans hans ke bas zaKHm diye mujh ko
par dekh mujhe zaKHmi har KHar bahut roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.