dastak de zanjir ki surat aa
dastak de zanjīr kī sūrat aa
dast-e-navā tahrīr kī sūrat aa
milnā kyā hai baiTh kināre ho
kuchh to bane ta.amīr kī sūrat aa
tarz-e-kashīda kyuuñ ye tirā mujh se
taur-e-jarāhat tiir kī sūrat aa
ma.anī lafz kī lauh ko nigale jab
misl-e-kun ta.abīr kī sūrat aa
ḳhushk āñkhoñ ko diid se ḳhīra kar
ḳhvāb ubhar shamshīr kī sūrat aa
dastak de zanjir ki surat aa
dast-e-nawa tahrir ki surat aa
milna kya hai baiTh kinare ho
kuchh to bane tamir ki surat aa
tarz-e-kashida kyun ye tera mujh se
taur-e-jarahat tir ki surat aa
mani lafz ki lauh ko nigale jab
misl-e-kun tabir ki surat aa
KHushk aankhon ko did se KHira kar
KHwab ubhar shamshir ki surat aa
- Book : Kimiya-e-samri (Pg. 65)
- Author : Mehdi Jafar
- Publication : Rujhan Publication (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.