dastaras chhin jaegi aur naqsh-e-pa kho jaenge
dastaras chhin jā.egī aur naqsh-e-pā kho jā.eñge
ham vahāñ par baiThe baiThe ret ke ho jā.eñge
kab se marnā chāhte haiñ tujh pe ham terī qasam
jaan se to jā rahe haiñ jaan mar to jā.eñge
vo nahīñ samjheñge lailā kaun hai maiñ kaun huuñ
bas zarā sahrā taraf jaanā hai pūchho jā.eñge
ik kahānī sunte sunte itnā 'arsa ho gayā
ab agar vo dikh gayā to andhe hī ho jā.eñge
ye jo tāroñ kā fusūñ hai TūTnā hai sub.h ko
jab tirī āñkhoñ se ham bhī Tuut kar kho jā.eñge
aap agar ḳhud se muḳhātib haiñ to 'āmir' Thiik hai
aap kī bātoñ ko sun kar log to so jā.eñge
dastaras chhin jaegi aur naqsh-e-pa kho jaenge
hum wahan par baiThe baiThe ret ke ho jaenge
kab se marna chahte hain tujh pe hum teri qasam
jaan se to ja rahe hain jaan mar to jaenge
wo nahin samjhenge laila kaun hai main kaun hun
bas zara sahra taraf jaana hai puchho jaenge
ek kahani sunte sunte itna 'arsa ho gaya
ab agar wo dikh gaya to andhe hi ho jaenge
ye jo taron ka fusun hai TuTna hai subh ko
jab teri aankhon se hum bhi Tut kar kho jaenge
aap agar KHud se muKHatib hain to 'amir' Thik hai
aap ki baaton ko sun kar log to so jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.