dastur tha jo gham ka purana badal gaya
dastūr thā jo ġham kā purānā badal gayā
sañbhle na the abhī ki zamāna badal gayā
shikva nahīñ ki sāġhar-o-mīnā badal ga.e
TuuTā ḳhumār kaif-e-shabāna badal gayā
jo baab the aham abhī hone the vo raqam
par kyā ki likhte likhte fasāna badal gayā
mashq-e-suḳhan vahī hai mashaqqat bhī hai vahī
kaise karūñ yaqīn zamāna badal gayā
naġhma-sarā haiñ ham to usī sur meñ lai meñ haiñ
par log kah rahe haiñ tarāna badal gayā
qaa.em purāne hīloñ bahānoñ pe aaj bhī
samjhe the is kā tarz bahāna badal gayā
merī thī kyā majāl haqīqat badal sakūñ
ḳhāke tah-e-ḳhayāl banānā badal gayā
'ādil' tujhe yaqīñ nahīñ aayā na aa.egā
terā vo yār-e-ġhār purānā badal gayā
dastur tha jo gham ka purana badal gaya
sanbhle na the abhi ki zamana badal gaya
shikwa nahin ki saghar-o-mina badal gae
TuTa KHumar kaif-e-shabana badal gaya
jo bab the aham abhi hone the wo raqam
par kya ki likhte likhte fasana badal gaya
mashq-e-suKHan wahi hai mashaqqat bhi hai wahi
kaise karun yaqin zamana badal gaya
naghma-sara hain hum to usi sur mein lai mein hain
par log kah rahe hain tarana badal gaya
qaem purane hilon bahanon pe aaj bhi
samjhe the is ka tarz bahana badal gaya
meri thi kya majal haqiqat badal sakun
KHake tah-e-KHayal banana badal gaya
'adil' tujhe yaqin nahin aaya na aaega
tera wo yar-e-ghaar purana badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.