dauDe wo mere qatl ko talwar khinch kar
dauḌe vo mere qatl ko talvār khīñch kar
maiñ rah gayā ik āh-e-sharar-bār khīñch kar
gustāḳh jazb-e-shauq hai kitnā ġhazab kiyā
laayā hai kis ko yuuñ sar-e-bāzār khīñch kar
hai hai ḳhabar bahār kī sunte hī mar gayā
ik āh-e-sard murġh-e-giraftār khīñch kar
vābasta is se saikḌoñ dil āshiqoñ ke haiñ
band-e-qabā na bāñdhiye zinhār khīñch kar
gar apne āh-o-nāla meñ tāsīr kuchh huī
'raunaq' ham un ko lā.eñge sau baar khīñch kar
dauDe wo mere qatl ko talwar khinch kar
main rah gaya ek aah-e-sharar-bar khinch kar
gustaKH jazb-e-shauq hai kitna ghazab kiya
laya hai kis ko yun sar-e-bazar khinch kar
hai hai KHabar bahaar ki sunte hi mar gaya
ek aah-e-sard murgh-e-giraftar khinch kar
wabasta is se saikDon dil aashiqon ke hain
band-e-qaba na bandhiye zinhaar khinch kar
gar apne aah-o-nala mein tasir kuchh hui
'raunaq' hum un ko laenge sau bar khinch kar
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.