daulat-e-dard kamane ke liye zinda hain
daulat-e-dard kamāne ke liye zinda haiñ
lutf jiine kā uThāne ke liye zinda haiñ
farq ye kam hai ki tum apne liye jiite ho
aur ham saare zamāne ke liye zinda haiñ
TuuT kar bhī to haiñ paivasta shajar se ab tak
ham na.ī zindagī paane ke liye zinda haiñ
vo muhāfiz haiñ jinheñ tum ne kamāneñ dī haiñ
be-kamāñ sirf nishāne ke liye zinda haiñ
haq dabāyā hai to kuchh der dabā.e rakhiye
log abhī shor machāne ke liye zinda haiñ
ab safar āḳhirī tanhā na karegā koī
ġham bahut saath nibhāne ke liye zinda haiñ
aisā lagtā hai ki nārāz hai duniyā 'nazmī'
aur ham is ko manāne ke liye zinda haiñ
daulat-e-dard kamane ke liye zinda hain
lutf jine ka uThane ke liye zinda hain
farq ye kam hai ki tum apne liye jite ho
aur hum sare zamane ke liye zinda hain
TuT kar bhi to hain paiwasta shajar se ab tak
hum nai zindagi pane ke liye zinda hain
wo muhafiz hain jinhen tum ne kamanen di hain
be-kaman sirf nishane ke liye zinda hain
haq dabaya hai to kuchh der dabae rakhiye
log abhi shor machane ke liye zinda hain
ab safar aaKHiri tanha na karega koi
gham bahut sath nibhane ke liye zinda hain
aisa lagta hai ki naraaz hai duniya 'nazmi'
aur hum is ko manane ke liye zinda hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.