Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daulat-e-khusrawi na dekh taj-e-sikandari na dekh

Niyaz Sultanpuri

daulat-e-khusrawi na dekh taj-e-sikandari na dekh

Niyaz Sultanpuri

MORE BYNiyaz Sultanpuri

    daulat-e-khusravī na dekh tāj-e-sikandarī na dekh

    sīrat-e-bātinī pe sūrat-e-zāhirī na dekh

    vādī-e-dil-navāz se jism ke ġhaar meñ utar

    zauq-e-nazar vāsta sūrat-e-sarsarī na dekh

    ek nazar muntazir bazm-e-qazā-o-qadr hai

    mast mai-e-alast meñ shān-e-sikandarī na dekh

    laakh qadam qadam pe haiñ rāh-e-vafā meñ mushkileñ

    sabr ko rahnumā banā rasm-e-sitamgarī na dekh

    laakh haram ghaat meñ aaj butān-e-kufr haiñ

    misl-e-kalīm rakh nazar jādū-e-sāmrī na dekh

    hijr aag meñ jalā aaTh pahar 'niyāz' ko

    tujh ko junūñ vāsta hālat-e-abtarī na dekh

    daulat-e-khusrawi na dekh taj-e-sikandari na dekh

    sirat-e-baatini pe ja surat-e-zahiri na dekh

    wadi-e-dil-nawaz se jism ke ghaar mein utar

    zauq-e-nazar ka wasta surat-e-sarsari na dekh

    ek nazar ki muntazir bazm-e-qaza-o-qadr hai

    mast mai-e-alast mein shan-e-sikandari na dekh

    lakh qadam qadam pe hain rah-e-wafa mein mushkilen

    sabr ko rahnuma bana rasm-e-sitamgari na dekh

    lakh haram ki ghat mein aaj butan-e-kufr hain

    misl-e-kalim rakh nazar jadu-e-samri na dekh

    hijr ki aag mein jala aaTh pahar 'niyaz' ko

    tujh ko junun ka wasta haalat-e-abtari na dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now