daulat mere pichhe na sharafat mere aage
daulat mire pīchhe na sharāfat mire aage
chaltā hai mirā sāya-e-vahshat mire aage
qudrat ne banāyā hai mujhe aisā bayābāñ
uḌ jaatī hai sahrāoñ kī rañgat mire aage
dushman kī nazar aatā huuñ maiñ jaan kā apnī
phīkī hai raqīboñ kī raqābat mire aage
kuchh karne nahīñ detī mirī kāhilī mujh ko
be-kār paḌī rahtī hai fursat mire aage
kuchh khoyā huā hai jo kisī ko nahīñ miltā
phirte haiñ pareshāñ qad-o-qāmat mire aage
jab se ye khulā mujh pe ki maiñ huuñ nahīñ kuchh
tab se na jahannum hai na jannat mire aage
hijrat kā ka.ī baar kiyā maiñ ne irāda
har baat 'shakīl' aa gayā bhārat mire aage
daulat mere pichhe na sharafat mere aage
chalta hai mera saya-e-wahshat mere aage
qudrat ne banaya hai mujhe aisa bayaban
uD jati hai sahraon ki rangat mere aage
dushman ki nazar aata hun main jaan ka apni
phiki hai raqibon ki raqabat mere aage
kuchh karne nahin deti meri kahili mujh ko
be-kar paDi rahti hai fursat mere aage
kuchh khoya hua hai jo kisi ko nahin milta
phirte hain pareshan qad-o-qamat mere aage
jab se ye khula mujh pe ki main hun nahin kuchh
tab se na jahannum hai na jannat mere aage
hijrat ka kai bar kiya main ne irada
har baat 'shakil' aa gaya bhaarat mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.