daur-e-hazir ka ye kaisa gulsitan hai boliye
daur-e-hāzir kā ye kaisā gulsitāñ hai boliye
phuul to har samt haiñ ḳhushbū kahāñ hai boliye
aap bhī paḌhte to hoñge āj-kal aḳhbār meñ
jurm kis kā aur kis kī dāstāñ hai boliye
rāstoñ se manziloñ tak mere paañv ke sivā
pattharoñ par kyā koī taaza nishāñ hai boliye
salb ho kar rah ga.iiñ kyuuñ ehtajājī quvvateñ
kaun ham logoñ meñ āḳhir be-zabāñ hai boliye
vo sitam-gar jis se duniyā ko amaañ miltī nahīñ
kis liye vo aaj ham par mehrbāñ hai boliye
jism miTTī ruuh mehmāñ saañs bhī us kī to phir
aap ko kis baat par itnā gumāñ hai boliye
kyā kaheñ 'tashna' kī is tuk-bandiyoñ ke daur meñ
shā.irī ko ab koī suntā kahāñ hai boliye
daur-e-hazir ka ye kaisa gulsitan hai boliye
phul to har samt hain KHushbu kahan hai boliye
aap bhi paDhte to honge aaj-kal aKHbar mein
jurm kis ka aur kis ki dastan hai boliye
raston se manzilon tak mere panw ke siwa
pattharon par kya koi taza nishan hai boliye
salb ho kar rah gain kyun ehtajaji quwwaten
kaun hum logon mein aaKHir be-zaban hai boliye
wo sitam-gar jis se duniya ko aman milti nahin
kis liye wo aaj hum par mehrban hai boliye
jism miTTi ruh mehman sans bhi us ki to phir
aap ko kis baat par itna guman hai boliye
kya kahen 'tashna' ki is tuk-bandiyon ke daur mein
shairi ko ab koi sunta kahan hai boliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.