daur-e-KHizan mein jashn-e-bahaaran dikhai de
daur-e-ḳhizāñ meñ jashn-e-bahārāñ dikhā.ī de
ab chaak chaak apnā garebāñ dikhā.ī de
kab tak raheñge sāhil-o-tūfāñ ke darmiyāñ
kab tak ye zindagī hameñ zindāñ dikhā.ī de
mere ḳhudā sazā-o-jazā ab yahāñ bhī ho
ye sarzamīñ bhī adl kā unvāñ dikhā.ī de
is daur-e-gumrahī kī zarūrat hai nuuh kī
sāhil-ba-dast phir vahī tūfāñ dikhā.ī de
'manzar' maiñ thak chukā huuñ yahī DhūñDte hue
is daur-e-nā-shanās meñ insāñ dikhā.ī de
daur-e-KHizan mein jashn-e-bahaaran dikhai de
ab chaak chaak apna gareban dikhai de
kab tak rahenge sahil-o-tufan ke darmiyan
kab tak ye zindagi hamein zindan dikhai de
mere KHuda saza-o-jaza ab yahan bhi ho
ye sarzamin bhi adl ka unwan dikhai de
is daur-e-gumrahi ki zarurat hai nuh ki
sahil-ba-dast phir wahi tufan dikhai de
'manzar' main thak chuka hun yahi DhunDte hue
is daur-e-na-shanas mein insan dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.