daur mujh tak nahin aata kabhi paimane ka
daur mujh tak nahīñ aatā kabhī paimāne kā
kuchh ajab rang hai saaqī tire maiḳhāne kā
raushnī barq-e-falak le ke dikhāne ko chalī
rang dekhā na gayā mere siyah-ḳhāne kā
yaad aa.iiñ kisī kāfir kī gulābī āñkheñ
rang dekhā jo chhalakte hue paimāne kā
vo huā ḳhaak ye jal jal ke ghulī jaatī hai
sham.a ne chhīn liyā soz bhī parvāne kā
saf.ha-e-dahr pe vo soḳhta dil huuñ 'safdar'
par-e-parvāna varaq hai mire afsāne kā
daur mujh tak nahin aata kabhi paimane ka
kuchh ajab rang hai saqi tere maiKHane ka
raushni barq-e-falak le ke dikhane ko chali
rang dekha na gaya mere siyah-KHane ka
yaad aain kisi kafir ki gulabi aankhen
rang dekha jo chhalakte hue paimane ka
wo hua KHak ye jal jal ke ghuli jati hai
shama ne chhin liya soz bhi parwane ka
safha-e-dahr pe wo soKHta dil hun 'safdar'
par-e-parwana waraq hai mere afsane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.