daur saghar ka chale saqi dobara ek aur
daur sāġhar kā chale saaqī dobārā ek aur
abr kā'ba se uThā hai maan kahnā ek aur
jhūmtā aatā hai vo bādal kā TukḌā ek aur
sāqiyā bhar kar pilā de jām-e-sahbā ek aur
din ko jo kuchh tum ne dekhā ye to thī sab dil-lagī
shab ko rah jaao to dikhlā.eñ tamāshā ek aur
maiñ unheñ kahtā huuñ tum bedard ho nā-āshnā
vo lagāte haiñ mujhe ilzām ulTā ek aur
dil ko nafrat ho ga.ī nazroñ se āḳhir gir ga.e
tum se behtar apnī āñkhoñ meñ samāyā ek aur
kyuuñ sisaktā chhoḌe jaate ho mujhe maqtal meñ tum
faisla kar duuñ maiñ qurbāñ de ke charkā ek aur
tere aane meñ tavaqquf jab huā ai nāma-bar
ḳhat unheñ bechain ho kar ham ne likkhā ek aur
band mahram ke khule kuchh be-hijābī ho chukī
vo bhī ab uTh jaa.e jo baaqī hai pardā ek aur
dost dushman ho ga.e yāroñ ne āñkheñ pher liiñ
rah gayā hai aap kā mujh ko bharosā ek aur
vasl kī shab meñ kiyā murġh-e-sahar kā band-o-bast
na.ara-e-allāhu-akbar kā hai dhaḌkā ek aur
ho chukā zikr-e-dahan vasf-e-kamar likhte haiñ ham
daam meñ sayyād ke phañstā hai anqā ek aur
said kī kasrat se 'āġhā' ban paḌī sayyād kī
do ne gar paa.ī rihā.ī aa ke uljhā ek aur
daur saghar ka chale saqi dobara ek aur
abr ka'ba se uTha hai man kahna ek aur
jhumta aata hai wo baadal ka TukDa ek aur
saqiya bhar kar pila de jam-e-sahba ek aur
din ko jo kuchh tum ne dekha ye to thi sab dil-lagi
shab ko rah jao to dikhlaen tamasha ek aur
main unhen kahta hun tum bedard ho na-ashna
wo lagate hain mujhe ilzam ulTa ek aur
dil ko nafrat ho gai nazron se aaKHir gir gae
tum se behtar apni aankhon mein samaya ek aur
kyun sisakta chhoDe jate ho mujhe maqtal mein tum
faisla kar dun main qurban de ke charka ek aur
tere aane mein tawaqquf jab hua ai nama-bar
KHat unhen bechain ho kar hum ne likkha ek aur
band mahram ke khule kuchh be-hijabi ho chuki
wo bhi ab uTh jae jo baqi hai parda ek aur
dost dushman ho gae yaron ne aankhen pher lin
rah gaya hai aap ka mujh ko bharosa ek aur
wasl ki shab mein kiya murgh-e-sahar ka band-o-bast
nara-e-allahu-akbar ka hai dhaDka ek aur
ho chuka zikr-e-dahan wasf-e-kamar likhte hain hum
dam mein sayyaad ke phansta hai anqa ek aur
said ki kasrat se 'agha' ban paDi sayyaad ki
do ne gar pai rihai aa ke uljha ek aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.