dawa aur dua be-asar ho gai
davā aur duā be-asar ho ga.ī
mohabbat mirī puḳhta-tar ho ga.ī
vo ghabrā ga.e sun ke zikr-e-raqīb
kahānī mirī mo'atabar ho ga.ī
shab-e-ġham kahāñ aur kahāñ ek aah
ye rūdād yuuñ muḳhtasar ho ga.ī
surāhī ke siine se phūTī kiran
chalo mai-kade meñ sahar ho ga.ī
ye zulfoñ pe ārā.isheñ mustazād
kamand ab to pechīda-tar ho ga.ī
bahut chhup ke pī thī pas-e-ḳhum magar
hameñ shaiḳh sāhib ḳhabar ho ga.ī
kaTore se chhalkī thī mastī meñ jo
falak par shuā-e-qamar ho ga.ī
jo hastī thī auj-e-falak kī raqīb
vo marhūn-e-barq-e-nazar ho ga.ī
chaman meñ jo thī fikr-e-vajh-e-umīd
qafas meñ vo zer-o-zabar ho ga.ī
chaman se qafas tak thī manzil kaḌī
magar lutf-e-gul-chīñ se sar ho ga.ī
tire qalb kī ik machaltī kiran
laboñ tak jo pahuñchī sahar ho ga.ī
qasam tere sar kī mohabbat tirī
na chāhī thī maiñ ne magar ho ga.ī
nahīñ rabt-e-gesū kā 'kausar' asar
tabī.at hī āshufta-sar ho ga.ī
dawa aur dua be-asar ho gai
mohabbat meri puKHta-tar ho gai
wo ghabra gae sun ke zikr-e-raqib
kahani meri mo'atabar ho gai
shab-e-gham kahan aur kahan ek aah
ye rudad yun muKHtasar ho gai
surahi ke sine se phuTi kiran
chalo mai-kade mein sahar ho gai
ye zulfon pe aaraishen mustazad
kamand ab to pechida-tar ho gai
bahut chhup ke pi thi pas-e-KHum magar
hamein shaiKH sahib KHabar ho gai
kaTore se chhalki thi masti mein jo
falak par shua-e-qamar ho gai
jo hasti thi auj-e-falak ki raqib
wo marhun-e-barq-e-nazar ho gai
chaman mein jo thi fikr-e-wajh-e-umid
qafas mein wo zer-o-zabar ho gai
chaman se qafas tak thi manzil kaDi
magar lutf-e-gul-chin se sar ho gai
tere qalb ki ek machalti kiran
labon tak jo pahunchi sahar ho gai
qasam tere sar ki mohabbat teri
na chahi thi main ne magar ho gai
nahin rabt-e-gesu ka 'kausar' asar
tabiat hi aashufta-sar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.