dawa ke nam se haalat KHarab hoti hai
davā ke naam se hālat ḳharāb hotī hai
'ilāj se mirī sehat ḳharāb hotī hai
jab aur mujh pe masīhā tavajjoh detā hai
kuchh aur merī tabī'at ḳharāb hotī hai
charāġh-e-rāh ke bujhne se kuchh nahīñ hotā
pa shām-e-ku-e-malāmat ḳharāb hotī hai
ye soch kar nahīñ koī jahān kā mālik
kabhī kabhī mirī niyyat ḳharāb hotī hai
ḳhudā ke vāste tafrīq-o-jam' kar na yahāñ
fazā-e-shahr-e-mohabbat ḳharāb hotī hai
ye kār-e-'ishq hai yaañ ik ghaḌī kī ġhaflat se
tamām 'umr kī mehnat ḳharāb hotī hai
dayār-e-'ishq meñ miltī hai surḳh-rūī use
ki jis kī jitnī bhī 'izzat ḳharāb hotī hai
dawa ke nam se haalat KHarab hoti hai
'ilaj se meri sehat KHarab hoti hai
jab aur mujh pe masiha tawajjoh deta hai
kuchh aur meri tabi'at KHarab hoti hai
charagh-e-rah ke bujhne se kuchh nahin hota
pa sham-e-ku-e-malamat KHarab hoti hai
ye soch kar nahin koi jahan ka malik
kabhi kabhi meri niyyat KHarab hoti hai
KHuda ke waste tafriq-o-jam' kar na yahan
faza-e-shahr-e-mohabbat KHarab hoti hai
ye kar-e-'ishq hai yan ek ghaDi ki ghaflat se
tamam 'umr ki mehnat KHarab hoti hai
dayar-e-'ishq mein milti hai surKH-rui use
ki jis ki jitni bhi 'izzat KHarab hoti hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 95)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.