dawa se to kuchh hua nahin ab dua karenge
davā se to kuchh huā nahīñ ab duā kareñge
asar duā meñ huā nahīñ gar to kyā kareñge
haqīqatoñ kī ye duniyā ham ko na milne degī
so yaar ham tum se ḳhvāb meñ hī milā kareñge
hameñ hai dariyā ke paar jaanā so ham kisī din
us ek būḌhe daraḳht se mashvara kareñge
agar ye sochoge phir to duniyā meñ kyā bachegā
hameñ milī hai daġhā so ham bhī daġhā kareñge
nadī meñ kashtī utārne se hī qabl 'shīrāz'
nadī ke us paar jaane kā hausla kareñge
dawa se to kuchh hua nahin ab dua karenge
asar dua mein hua nahin gar to kya karenge
haqiqaton ki ye duniya hum ko na milne degi
so yar hum tum se KHwab mein hi mila karenge
hamein hai dariya ke par jaana so hum kisi din
us ek buDhe daraKHt se mashwara karenge
agar ye sochoge phir to duniya mein kya bachega
hamein mili hai dagha so hum bhi dagha karenge
nadi mein kashti utarne se hi qabl 'shiraaz'
nadi ke us par jaane ka hausla karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.