daya mujhko dhoka tumhaari hansi ne
dayā mujh ko dhokā tumhārī hañsī ne
añdhere meñ rakkhā mujhe raushnī ne
mohabbat se har dil ko shikva hai lekin
mohabbat kā dāman na chhoḌā kisī ne
na kuchh ho sakā aaj tak aadmī se
agarche bahut kuchh kiyā aadmī ne
pukārā hai us ne mirā naam le kar
ki āvāz dī hai mujhe zindagī ne
na bahke qadam us ke hargiz na bahke
sahārā jise de diyā be-ḳhudī ne
tirī dushmanī se jo mumkin nahīñ thā
dikhā.e haiñ vo din tirī dostī ne
'shamīm' is tamanna se ham baaz aa.e
diloñ ke kare chuur jo ābgīne
daya mujh ko dhoka tumhaari hansi ne
andhere mein rakkha mujhe raushni ne
mohabbat se har dil ko shikwa hai lekin
mohabbat ka daman na chhoDa kisi ne
na kuchh ho saka aaj tak aadmi se
agarche bahut kuchh kiya aadmi ne
pukara hai us ne mera nam le kar
ki aawaz di hai mujhe zindagi ne
na bahke qadam us ke hargiz na bahke
sahaara jise de diya be-KHudi ne
teri dushmani se jo mumkin nahin tha
dikhae hain wo din teri dosti ne
'shamim' is tamanna se hum baz aae
dilon ke kare chur jo aabgine
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.