dayar-e-ahl-e-karam ka tawaf apni jagah
dayār-e-ahl-e-karam kā tavāf apnī jagah
ubhar rahā hai kahīñ inhirāf apnī jagah
basīrateñ to havā ke ḳhilāf chaltī haiñ
huā kare ye zamāna ḳhilāf apnī jagah
mirī kitāb kā bainassutūr hai kuchh aur
baḌā.iyoñ kā tirī e'tirāf apnī jagah
hasīn chehroñ kī be-chehragī hai ek taraf
nazar pe husn-e-nazar kā ġhilāf apnī jagah
hello kī hi kī tahzīb hai bulandī par
ḳhulūs-o-mehr kā girtā graph apnī jagah
vo roj T v pe taajā ḳhabar sunā.egā
sañbhāle baiThe raho shiin qaaf apnī jagah
unhī ko miltā hai e'zāz dūr-bīnī kā
jinheñ dikhā.ī na de saaf saaf apnī jagah
hayāt-o-maut haiñ aqdār-e-mushtarak fārūq
ḳhudā ke baab meñ har iḳhtilāf apnī jagah
dayar-e-ahl-e-karam ka tawaf apni jagah
ubhar raha hai kahin inhiraf apni jagah
basiraten to hawa ke KHilaf chalti hain
hua kare ye zamana KHilaf apni jagah
meri kitab ka bainassutur hai kuchh aur
baDaiyon ka teri e'tiraf apni jagah
hasin chehron ki be-chehragi hai ek taraf
nazar pe husn-e-nazar ka ghilaf apni jagah
hello ki hi ki tahzib hai bulandi par
KHulus-o-mehr ka girta graph apni jagah
wo roj T w pe taja KHabar sunaega
sanbhaale baiThe raho shin qaf apni jagah
unhi ko milta hai e'zaz dur-bini ka
jinhen dikhai na de saf saf apni jagah
hayat-o-maut hain aqdar-e-mushtarak faruq
KHuda ke bab mein har iKHtilaf apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.