dayar-e-ghair mein jhanDa gaDa hai
dayār-e-ġhair meñ jhanDā gaḌā hai
samundar naav meñ TuuTā paḌā hai
tirī bastī kā ab to maiñ nabī huuñ
nabī sā vaqt mujh par aa paḌā hai
ta.āqub meñ hai sūraj dopahar se
mire qad se mirā saaya baḌā hai
ye kyā bahrūp kis kī justujū hai
har ik chehre pe ik chehrā jaḌā hai
bahattar aur muqābil laav lashkar
magar haq par ye vaqt aksar paḌā hai
nazar nāgāh us par jā paḌī thī
abhī tak bas vahī lamha khaḌā hai
dayar-e-ghair mein jhanDa gaDa hai
samundar naw mein TuTa paDa hai
teri basti ka ab to main nabi hun
nabi sa waqt mujh par aa paDa hai
taaqub mein hai suraj dopahar se
mere qad se mera saya baDa hai
ye kya bahrup kis ki justuju hai
har ek chehre pe ek chehra jaDa hai
bahattar aur muqabil law lashkar
magar haq par ye waqt aksar paDa hai
nazar nagah us par ja paDi thi
abhi tak bas wahi lamha khaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.