dayar-e-ghair mein koi to aasra nikla
dayār-e-ġhair meñ koī to aasrā niklā
vo ajnabī thā mire apne gaañv kā niklā
vagarna kaun mohabbat yahāñ nibhā paatā
ḳhudā kā shukr judā.ī kā rāsta niklā
maiñ sab ko raah dikhāte yahāñ talak aaya
phir apne ghar kā pata pūchhtā huā niklā
maiñ ek umr jise sang hī samajhtā rahā
vo ek shaḳhs mohabbat meñ mubtalā niklā
dayar-e-ghair mein koi to aasra nikla
wo ajnabi tha mere apne ganw ka nikla
wagarna kaun mohabbat yahan nibha pata
KHuda ka shukr judai ka rasta nikla
main sab ko rah dikhate yahan talak aaya
phir apne ghar ka pata puchhta hua nikla
main ek umr jise sang hi samajhta raha
wo ek shaKHs mohabbat mein mubtala nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.