dayar-e-ghair se ho kar dayar-e-yar jaega
dayār-e-ġhair se ho kar dayār-e-yār jā.egā
jahāñ se jab bhī koī sāhab-e-kirdār jā.egā
nafī kī kaj-adā.ī meñ nihāñ isbāt kā aalam
jahāñ iqrār na pahuñchā vahāñ inkār jā.egā
binā soche binā samjhe ye andhe saath ho leñge
kahīñ se to hamārā qāfila-sālār jā.egā
ḳhudī ke par nikal aa.eñ jo is mad.hosh insāñ meñ
to ye shahkār qudrat kā ufuq ke paar jā.egā
faqat aslāf ke kirdār par apnā amal ho to
kisī dushman kā bhī ho vaar vo be-kār jā.egā
ḳhudā se baḳhshvā degā kisī kā ek hī aañsū
kisī kā umr bhar ronā vahāñ be-kār jā.egā
bhale anjām jo bhī ho vahāñ bolūñgā maiñ 'anjum'
jahāñ ḳhāmosh rahne se mirā kirdār jā.egā
dayar-e-ghair se ho kar dayar-e-yar jaega
jahan se jab bhi koi sahab-e-kirdar jaega
nafi ki kaj-adai mein nihan isbaat ka aalam
jahan iqrar na pahuncha wahan inkar jaega
bina soche bina samjhe ye andhe sath ho lenge
kahin se to hamara qafila-salar jaega
KHudi ke par nikal aaen jo is madhosh insan mein
to ye shahkar qudrat ka ufuq ke par jaega
faqat aslaf ke kirdar par apna amal ho to
kisi dushman ka bhi ho war wo be-kar jaega
KHuda se baKHshwa dega kisi ka ek hi aansu
kisi ka umr bhar rona wahan be-kar jaega
bhale anjam jo bhi ho wahan bolunga main 'anjum'
jahan KHamosh rahne se mera kirdar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.