dayar-e-gham se hum bahar nikal ke sher kahte hain
dayār-e-ġham se ham bāhar nikal ke sher kahte haiñ
masā.il haiñ bahut se un meñ Dhal ke sher kahte haiñ
dahakte aag ke sho.aloñ pe chal ke sher kahte haiñ
hameñ pahchān liije ham ġhazal ke sher kahte haiñ
rivāyat ke pujārī is liye nārāz haiñ ham se
ḳhatā ye hai na.e rastoñ pe chal ke sher kahte haiñ
hameñ tanhā.iyoñ kā shor jab bechain kartā hai
ikaTThī karte haiñ yādeñ ġhazal ke sher kahte haiñ
sitāroñ kī tarah raushan haiñ jin ke lafz zehnoñ meñ
vo shāyad mom kī sūrat pighal ke sher kahte haiñ
hamārī shā.irī us ko kahīñ rusvā na kar Daale
so us ke shahr meñ thoḌā sambhal ke sher kahte
dayar-e-gham se hum bahar nikal ke sher kahte hain
masail hain bahut se un mein Dhal ke sher kahte hain
dahakte aag ke shoalon pe chal ke sher kahte hain
hamein pahchan lije hum ghazal ke sher kahte hain
riwayat ke pujari is liye naraaz hain hum se
KHata ye hai nae raston pe chal ke sher kahte hain
hamein tanhaiyon ka shor jab bechain karta hai
ikaTThi karte hain yaaden ghazal ke sher kahte hain
sitaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon mein
wo shayad mom ki surat pighal ke sher kahte hain
hamari shairi us ko kahin ruswa na kar Dale
so us ke shahr mein thoDa sambhal ke sher kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.