dayar-e-habs mein bujhte hue charaghon ko
dayār-e-habs meñ bujhte hue charāġhoñ ko
zarā sahārā havā kā mile charāġhoñ ko
bujhe charāġhoñ kī sargoshiyoñ meñ ḳhatra hai
havā bhī kaan lagā kar sune charāġhoñ ko
dikhā na paa.eñ jo rasta kisī musāfir ko
to kyā kare koī rah meñ paḌe charāġhoñ ko
tumhāre bas meñ nahīñ hai to raushnī dūñgā
charāġh ban ke jo utre kahe charāġhoñ ko
palaT ke aa.e añdheroñ ko maat de kar ham
hamārī raah meñ koī rakhe charāġhoñ ko
dayar-e-habs mein bujhte hue charaghon ko
zara sahaara hawa ka mile charaghon ko
bujhe charaghon ki sargoshiyon mein KHatra hai
hawa bhi kan laga kar sune charaghon ko
dikha na paen jo rasta kisi musafir ko
to kya kare koi rah mein paDe charaghon ko
tumhaare bas mein nahin hai to raushni dunga
charagh ban ke jo utre kahe charaghon ko
palaT ke aae andheron ko mat de kar hum
hamari rah mein koi rakhe charaghon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.