dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun
dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun
Shahbaz Nadeem Ziai
MORE BYShahbaz Nadeem Ziai
dayār-e-shām na burj-e-saher meñ raushan huuñ
maiñ ek 'umr se apne hī ghar meñ raushan huuñ
hujūm-e-shab-zadagāñ se farār ho kar aaj
jamāl-e-shola-e-shama-e-saher meñ raushan huuñ
maiñ muntazir huuñ to phir muntazar bhī aa.egā
charāġh-e-jāñ kī tarah rah-guzar meñ raushan huuñ
na jaane kab mirī hastī dhuāñ dhuāñ ho jaa.e
maiñ ek sā.at-e-nā-motabar meñ raushan huuñ
mire harīf-e-suḳhan kuchh tujhe ḳhabar bhī hai
tire sabab se hisār-e-hunar meñ raushan huuñ
nizām-e-gardish-e-daurāñ mirā muqaddar hai
maiñ ik sitāre kī sūrat safar meñ raushan huuñ
akelā jaan ke ḳhud ko na ho udaas ki maiñ
misāl-e-ashk tirī chashm-e-tar meñ raushan huuñ
mujhe talāsh na kar merī zaat meñ 'shahbāz'
bahut dinoñ se jahān-e-digar meñ raushan huuñ
dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun
main ek 'umr se apne hi ghar mein raushan hun
hujum-e-shab-zadagan se farar ho kar aaj
jamal-e-shola-e-shama-e-saher mein raushan hun
main muntazir hun to phir muntazar bhi aaega
charagh-e-jaan ki tarah rah-guzar mein raushan hun
na jaane kab meri hasti dhuan dhuan ho jae
main ek saat-e-na-motabar mein raushan hun
mere harif-e-suKHan kuchh tujhe KHabar bhi hai
tere sabab se hisar-e-hunar mein raushan hun
nizam-e-gardish-e-dauran mera muqaddar hai
main ek sitare ki surat safar mein raushan hun
akela jaan ke KHud ko na ho udas ki main
misal-e-ashk teri chashm-e-tar mein raushan hun
mujhe talash na kar meri zat mein 'shahbaz'
bahut dinon se jahan-e-digar mein raushan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.