dayar-e-shab mein chalun chal ke kaamyab karun
dayār-e-shab meñ chalūñ chal ke kāmyāb karūñ
maiñ chāhtā huuñ charāġhoñ ko āftāb karūñ
maiñ pahle raat ke saaye ko misl-e-ḳhvāb karūñ
phir apne ḳhvāb kī ta.abīr dastiyāb karūñ
atash ko ḳhema lagānā hai merī palkoñ par
maiñ kaise āñkhoñ ke dariyā meñ qaht-e-āb karūñ
maiñ jāntā huuñ ye bastī hai gūñge bahroñ kī
tumhīñ batāo maiñ kis ko yahāñ ḳhitāb karūñ
tire mizāj kā mazmūn paḌh na pā.ūñgā
bhale hī chehra tirā rāt-din kitāb karūñ
ye aur baat hai tū bhūlne nahīñ detā
vagarna aaj bhī 'shārib' se jī janāb karūñ
dayar-e-shab mein chalun chal ke kaamyab karun
main chahta hun charaghon ko aaftab karun
main pahle raat ke saye ko misl-e-KHwab karun
phir apne KHwab ki tabir dastiyab karun
atash ko KHema lagana hai meri palkon par
main kaise aankhon ke dariya mein qaht-e-ab karun
main jaanta hun ye basti hai gunge bahron ki
tumhin batao main kis ko yahan KHitab karun
tere mizaj ka mazmun paDh na paunga
bhale hi chehra tera raat-din kitab karun
ye aur baat hai tu bhulne nahin deta
wagarna aaj bhi 'shaarib' se ji janab karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.