dayar-e-yaad mein lani paDi teri taswir
dayār-e-yād meñ laanī paḌī tirī tasvīr
phir āñsuoñ se banānī paḌī tirī tasvīr
ye baat aur banā.ī thī chhāñv meñ lekin
shadīd dhuup meñ laanī paḌī tirī tasvīr
bas ek pal ke chiḌhāne ke lutf kī ḳhātir
zarā burī sī banānī paḌī tirī tasvīr
jo kapkapāte hue haath se chhuā tujh ko
hayā ke rañg se dhānī paḌī tirī tasvīr
vo merā dost bahut ḳhaas thā magar jānāñ
galā pakaḌ ke chhuḌānī paḌī tirī tasvīr
dayar-e-yaad mein lani paDi teri taswir
phir aansuon se banani paDi teri taswir
ye baat aur banai thi chhanw mein lekin
shadid dhup mein lani paDi teri taswir
bas ek pal ke chiDhane ke lutf ki KHatir
zara buri si banani paDi teri taswir
jo kapkapate hue hath se chhua tujh ko
haya ke rang se dhani paDi teri taswir
wo mera dost bahut KHas tha magar jaanan
gala pakaD ke chhuDani paDi teri taswir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.