de chuke dil to phir ab dil par ijara kaisa
de chuke dil to phir ab dil par ijārā kaisā
ham samajhte haiñ hamārā hai hamārā kaisā
har adā bāñkī hai har naaz se pyārā kaisā
dil meñ rakh lījiye andāz hai saarā kaisā
surḳh poshāk vo pahneñge ḳhudā ḳhair kare
aaj mirrīḳh kā chamkegā sitārā kaisā
mujh ko ye lutf ki vo shart meñ bose jiite
un ko ye sharm ki maiñ jiit meñ haarā kaisā
mardum-e-chashm ne palkoñ se balā.eñ le liiñ
chashm-e-baddūr hai vo aañkh kā taarā kaisā
maiñ liye jā.ūñ shab-e-vasl mukarrar bose
tum kahe jaao ki haiñ haiñ ye dobārā kaisā
dam-e-nazzāra nazar-bāz taḌap jaate haiñ
shoḳhī-e-chashm se hai shoḳh ishāra kaisā
tujh pe marte haiñ tire va.adoñ pe ham jiite haiñ
ḳhālī bātoñ kā bhī hotā hai sahārā kaisā
saaf āġhosh-e-tamannā se nikal jaate ho
vasl meñ vasl se karte ho kinārā kaisā
de chuke dil to phir ab dil par ijara kaisa
hum samajhte hain hamara hai hamara kaisa
har ada banki hai har naz se pyara kaisa
dil mein rakh lijiye andaz hai sara kaisa
surKH poshak wo pahnenge KHuda KHair kare
aaj mirriKH ka chamkega sitara kaisa
mujh ko ye lutf ki wo shart mein bose jite
un ko ye sharm ki main jit mein haara kaisa
mardum-e-chashm ne palkon se balaen le lin
chashm-e-baddur hai wo aankh ka tara kaisa
main liye jaun shab-e-wasl mukarrar bose
tum kahe jao ki hain hain ye dobara kaisa
dam-e-nazzara nazar-baz taDap jate hain
shoKHi-e-chashm se hai shoKH ishaara kaisa
tujh pe marte hain tere wadon pe hum jite hain
KHali baaton ka bhi hota hai sahaara kaisa
saf aaghosh-e-tamanna se nikal jate ho
wasl mein wasl se karte ho kinara kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.