de diya jo maqam us ka hai
de diyā jo maqām us kā hai
dil kī bastī meñ naam us kā hai
zindagī kī yahī sadāqat hai
jis kī duniyā nizām us kā hai
vaqt kitnā guzar gayā phir bhī
mere dil meñ qiyām us kā hai
kitne sāloñ ke baa'd mere liye
aaj aaya salām us kā hai
kab bhulāyā use 'sabā' maiñ ne
zikr to sub.h-o-shām us kā hai
de diya jo maqam us ka hai
dil ki basti mein nam us ka hai
zindagi ki yahi sadaqat hai
jis ki duniya nizam us ka hai
waqt kitna guzar gaya phir bhi
mere dil mein qiyam us ka hai
kitne salon ke ba'd mere liye
aaj aaya salam us ka hai
kab bhulaya use 'saba' main ne
zikr to subh-o-sham us ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.