de gai lazzat meri tanhai ki aadat mujhe
de ga.ī lazzat mirī tanhā.ī kī 'ādat mujhe
ab shikāyat hai kisī se aur na hai vahshat mujhe
khoj meñ apnī nikalne kā safar achchhā lagā
lamha-lamha ḳhud ko paane meñ milī rāhat mujhe
merī apnī zindagī hai dāstāñ-dar-dāstāñ
qisse auroñ ke paḌhūñ maiñ ab kahāñ fursat mujhe
ḳhud-parastī ḳhud-satā.ī mujh ko duniyā se milī
jā-ba-jā DhūñDegī mere naam se shohrat mujhe
'fauziya' is dil meñ pinhāñ haiñ talātum-ḳheziyāñ
maar na Daale kahīñ jazbāt kī shiddat mujhe
de gai lazzat meri tanhai ki 'adat mujhe
ab shikayat hai kisi se aur na hai wahshat mujhe
khoj mein apni nikalne ka safar achchha laga
lamha-lamha KHud ko pane mein mili rahat mujhe
meri apni zindagi hai dastan-dar-dastan
qisse auron ke paDhun main ab kahan fursat mujhe
KHud-parasti KHud-satai mujh ko duniya se mili
ja-ba-ja DhunDegi mere nam se shohrat mujhe
'fauziya' is dil mein pinhan hain talatum-KHeziyan
mar na Dale kahin jazbaat ki shiddat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.