de ke chubhte hue sawal hawa
de ke chubhte hue savāl havā
le ga.ī mere tiis saal havā
paañv dhartī se uTh rahe haiñ mire
ho sake to mujhe sambhāl havā
aur phūñkegā bastiyāñ kitnī
aag se terā ittisāl havā
tū ki jalte diye bujhātī hai
mere zaḳhmoñ kā indimāl havā
vo to kahiye ki terā jism nahīñ
tū bhī ho jaatī pā.emāl havā
lauh-e-marqad pe āb-e-zar se likho
ho ga.ī hai yahāñ niDhāl havā
har qadam dekh-bhāl kar 'anjum'
bun rahī hai anokhe jaal havā
de ke chubhte hue sawal hawa
le gai mere tis sal hawa
panw dharti se uTh rahe hain mere
ho sake to mujhe sambhaal hawa
aur phunkega bastiyan kitni
aag se tera ittisal hawa
tu ki jalte diye bujhati hai
mere zaKHmon ka indimal hawa
wo to kahiye ki tera jism nahin
tu bhi ho jati paemal hawa
lauh-e-marqad pe aab-e-zar se likho
ho gai hai yahan niDhaal hawa
har qadam dekh-bhaal kar 'anjum'
bun rahi hai anokhe jal hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.