de ke dil apna kisi qalb mein ghar paida kar
de ke dil apnā kisī qalb meñ ghar paidā kar
be-zabāñ ban ke ḳhamoshī meñ asar paidā kar
ātish-e-ishq meñ andāz-e-sharar paidā kar
ġham ke tārīk añdheroñ meñ sahar paidā kar
aarzū yaar ke jalvoñ kī agar paidā kar
tāb-e-jalva ho jise aisī nazar paidā kar
vaqt barbād na kar zād-e-safar paidā kar
daur-e-āġhāz meñ anjām kā Dar paidā kar
bahr-e-hastī meñ 'sadaf' ban ke guhar paidā kar
dard-e-dil dard-e-jigar dard-e-bashar paidā kar
de ke dil apna kisi qalb mein ghar paida kar
be-zaban ban ke KHamoshi mein asar paida kar
aatish-e-ishq mein andaz-e-sharar paida kar
gham ke tarik andheron mein sahar paida kar
aarzu yar ke jalwon ki agar paida kar
tab-e-jalwa ho jise aisi nazar paida kar
waqt barbaad na kar zad-e-safar paida kar
daur-e-aghaz mein anjam ka Dar paida kar
bahr-e-hasti mein 'sadaf' ban ke guhar paida kar
dard-e-dil dard-e-jigar dard-e-bashar paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.