de raha tha kahin sada koi
de rahā thā kahīñ sadā koī
duur tak par nahīñ dikhā koī
soch kaise tirī mohabbat meñ
maar ke ḳhud ko bhī jiyā koī
ishq bhī is tarah kiyā tū ne
jaise daftar kā kaam thā koī
us ne āvāz dī nahīñ āḳhir
mere andar hī mar gayā koī
thak ga.ī huuñ maiñ yaad kar ke ab
bhūlne kā hunar sikhā koī
saarī duniyā meñ hairateñ bhar de
phir tamāsha nayā dikhā koī
mujh meñ raushan huā ḳhudā jab se
tab se bujhtā chalā gayā koī
de raha tha kahin sada koi
dur tak par nahin dikha koi
soch kaise teri mohabbat mein
mar ke KHud ko bhi jiya koi
ishq bhi is tarah kiya tu ne
jaise daftar ka kaam tha koi
us ne aawaz di nahin aaKHir
mere andar hi mar gaya koi
thak gai hun main yaad kar ke ab
bhulne ka hunar sikha koi
sari duniya mein hairaten bhar de
phir tamasha naya dikha koi
mujh mein raushan hua KHuda jab se
tab se bujhta chala gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.