de rihai mujhe is haalat-e-yaktai se
de rihā.ī mujhe is hālat-e-yaktā.ī se
thak chukā huuñ maiñ shab-o-roz kī tanhā.ī se
tum bhī kahte ho mirā zaḳhm davā vaalā hai
tum to vāqif ho mire zaḳhm kī gahrā.ī se
maiñ mohabbat meñ dikhāvā nahīñ karne vaalā
jītnā hai mujhe us shaḳhs ko sachchā.ī se
is marāsim ko ḳhad-o-ḳhāl zarūrī to nahīñ
ham shanāsā haiñ mirī jaan shanāsā.ī se
vo hai duniyā kā talabgār tum us ke 'shahroz'
dil lagāyā to lagāyā kisī harjā.ī se
de rihai mujhe is haalat-e-yaktai se
thak chuka hun main shab-o-roz ki tanhai se
tum bhi kahte ho mera zaKHm dawa wala hai
tum to waqif ho mere zaKHm ki gahrai se
main mohabbat mein dikhawa nahin karne wala
jitna hai mujhe us shaKHs ko sachchai se
is marasim ko KHad-o-KHal zaruri to nahin
hum shanasa hain meri jaan shanasai se
wo hai duniya ka talabgar tum us ke 'shahroz'
dil lagaya to lagaya kisi harjai se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.