de sako to zindagani do mujhe
de sako to zindagānī do mujhe
lafz to maiñ huuñ ma.ānī do mujhe
kho na jaa.e mujh meñ ik bachcha hai jo
yuuñ karo koī kahānī do mujhe
ham-zabāñ merā yahāñ koī nahīñ
laao apnī be-zabānī do mujhe
hai havā darkār merī aag ko
kab kahā us ne ki paanī do mujhe
ek manzil ne to 'dānish' ye kahā
rāstoñ kī kuchh nishānī do mujhe
de sako to zindagani do mujhe
lafz to main hun maani do mujhe
kho na jae mujh mein ek bachcha hai jo
yun karo koi kahani do mujhe
ham-zaban mera yahan koi nahin
lao apni be-zabani do mujhe
hai hawa darkar meri aag ko
kab kaha us ne ki pani do mujhe
ek manzil ne to 'danish' ye kaha
raston ki kuchh nishani do mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.