de tabassum ki KHairaat mahaul ko hum ko darkar hai raushni ya nabi
de tabassum ki KHairaat mahaul ko hum ko darkar hai raushni ya nabi
Hafiz Taib
MORE BYHafiz Taib
de tabassum kī ḳhairāt māhaul ko ham ko darkār hai raushnī yā nabī
ek shīrīñ jhalak ek rangīñ Dalak talḳh-o-tārīk hai zindagī yā nabī
ai naved-e-masīhā tirī qaum kā haal iisā kī bheḌoñ se abtar huā
is ke kamzor aur be-hunar haath se chhīn lī charḳh ne bartarī yā nabī
kaam ham ne rakhā sirf azkār se terī ta.alīm apnā.ī aġhyār ne
hashr meñ muñh dikhā.eñge kaise tujhe ham se nā-karda-kār ummatī yā nabī
ruuh vīrān hai aañkh hairān hai ek bohrān thā ek bohrān hai
gulshanoñ shahroñ qariyoñ pe hai par-fishāñ ek gambhīr afsurdagī yā nabī
sach mire daur meñ jurm hai aib hai jhuuT fann-e-azīm aaj lā-raib hai
ek e.azāz hai jahl o be-rah-ravī ek āzār hai āgahī yā nabī
rāzdāñ is jahāñ meñ banā.ūñ kise ruuh ke zaḳhm jā kar dikhā.ūñ kise
ġhair ke sāmne kyoñ tamāshā banūñ kyoñ karūñ dostoñ ko dukhī yā nabī
ziist ke tapte sahrā pa shāh-e-arab tere ikrām kā abr barsegā kab
kab harī hogī shāḳh-e-tamannā mirī kab miTegī mirī tishnagī yā nabī
yā nabī ab to āshob-e-hālāt ne terī yādoñ ke chehre bhī dhuñdlā diye
dekh le tere 'tā.ib' kī naġhmagarī bantī jaatī hai nauhagarī yā nabī
de tabassum ki KHairaat mahaul ko hum ko darkar hai raushni ya nabi
ek shirin jhalak ek rangin Dalak talKH-o-tarik hai zindagi ya nabi
ai nawed-e-masiha teri qaum ka haal isa ki bheDon se abtar hua
is ke kamzor aur be-hunar hath se chhin li charKH ne bartari ya nabi
kaam hum ne rakha sirf azkar se teri talim apnai aghyar ne
hashr mein munh dikhaenge kaise tujhe hum se na-karda-kar ummati ya nabi
ruh viran hai aankh hairan hai ek bohran tha ek bohran hai
gulshanon shahron qariyon pe hai par-fishan ek gambhir afsurdagi ya nabi
sach mere daur mein jurm hai aib hai jhuT fann-e-azim aaj la-raib hai
ek eazaz hai jahl o be-rah-rawi ek aazar hai aagahi ya nabi
raazdan is jahan mein banaun kise ruh ke zaKHm ja kar dikhaun kise
ghair ke samne kyon tamasha banun kyon karun doston ko dukhi ya nabi
zist ke tapte sahra pa shah-e-arab tere ikram ka abr barsega kab
kab hari hogi shaKH-e-tamanna meri kab miTegi meri tishnagi ya nabi
ya nabi ab to aashob-e-haalat ne teri yaadon ke chehre bhi dhundla diye
dekh le tere 'taib' ki naghmagari banti jati hai nauhagari ya nabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.