de tasalli mere KHuda koi
de tasallī mire ḳhudā koī
hāl-e-dil kī nahīñ davā koī
hālat-e-ranj meñ huā mā'lūm
kaise kartā hai iltijā koī
tum se juḌtī haiñ dil kī dīvāreñ
aao kar deñ makāñ khaḌā koī
kyā yahī 'ishq hai mohabbat hai
mujh ko miltā nahīñ sirā koī
tujh se nisbat 'ajīb nisbat hai
mujh ko apnā nahīñ patā koī
vo bhī hone lagā judā mujh se
jis ko apnā nahīñ milā koī
sab hī hālāt ke haiñ maare hue
mushkiloñ se nahīñ bachā koī
de tasalli mere KHuda koi
haal-e-dil ki nahin dawa koi
haalat-e-ranj mein hua ma'lum
kaise karta hai iltija koi
tum se juDti hain dil ki diwaren
aao kar den makan khaDa koi
kya yahi 'ishq hai mohabbat hai
mujh ko milta nahin sira koi
tujh se nisbat 'ajib nisbat hai
mujh ko apna nahin pata koi
wo bhi hone laga juda mujh se
jis ko apna nahin mila koi
sab hi haalat ke hain mare hue
mushkilon se nahin bacha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.