dekh ai duniya babul ab phulne-phalne lage
dekh ai duniyā babūl ab phūlne-phalne lage
zaḳhm dil ke āḳhirash ash'ār meñ Dhalne lage
peḌ udāsī kā rakhā hai dil meñ ek is vaj.h se
chhāoñ meñ is kī agar kal ko ġhazal palne lage
dang hai ḳhud kī hī bastī meñ dhuāñ vo dekh kar
bam kahāñ pheñke the us ne ghar kahāñ jalne lage
tū mire zindān ke qissa zarā sun ke to dekh
'ain mumkin hai ki āzādī tujhe khalne lage
ḳhat likhā kiije na 'fānī' aaj ke bhī daur meñ
kyā pata kis daur meñ ye taur phir chalne lage
dekh ai duniya babul ab phulne-phalne lage
zaKHm dil ke aaKHirash ash'ar mein Dhalne lage
peD udasi ka rakha hai dil mein ek is wajh se
chhaon mein is ki agar kal ko ghazal palne lage
dang hai KHud ki hi basti mein dhuan wo dekh kar
bam kahan phenke the us ne ghar kahan jalne lage
tu mere zindan ke qissa zara sun ke to dekh
'ain mumkin hai ki aazadi tujhe khalne lage
KHat likha kije na 'fani' aaj ke bhi daur mein
kya pata kis daur mein ye taur phir chalne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.