dekh apna KHayal kar baba
dekh apnā ḳhayāl kar baabā
ho ga.ī raat jā tū ghar baabā
dhuup utregī tere kamre meñ
rakh darīche ko khol kar baabā
yaad rakhnā mujhe duāoñ meñ
taaki āsāñ rahe safar baabā
jis kā hai intizār barsoñ se
jaane kab hogī vo sahar baabā
uTh rahā hai usī taraf vo dhuāñ
apnī kuTiyā kī le ḳhabar baabā
luT na jaa.e matā-e-dil apnī
ye luTeroñ kā hai nagar baabā
is tarah gaañv se gayā 'anjum'
phir na aayā vo lauT kar baabā
dekh apna KHayal kar baba
ho gai raat ja tu ghar baba
dhup utregi tere kamre mein
rakh dariche ko khol kar baba
yaad rakhna mujhe duaon mein
taki aasan rahe safar baba
jis ka hai intizar barson se
jaane kab hogi wo sahar baba
uTh raha hai usi taraf wo dhuan
apni kuTiya ki le KHabar baba
luT na jae mata-e-dil apni
ye luTeron ka hai nagar baba
is tarah ganw se gaya 'anjum'
phir na aaya wo lauT kar baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.