dekh apne mailon ko ki hain dil jale paDe
dekh apne mā.iloñ ko ki haiñ dil jale paḌe
pazhmurda, dil-fasurda dar uupar Dhale paḌe
chakkī chalī hai charḳh kī dānāo dekh lo
daane bahut haiñ is meñ to aise Dale paḌe
oho jī de hī Daalo nikāl aisī bhūkh meñ
tum kun to haiñ samose bahut se tale paḌe
jab gir paḌūñ huuñ paañv pa kahte ho muñh ko pher
tum chhoḌ sab ko pand hamāre bhale paḌe
juuñ jānūñ be-kasoñ ke ta.iiñ ab nibāh lo
ham sab taraf se haar tumhāre gale paḌe
terā ho bol-bālā samajh-būjh sher kah
dekh 'azfarī' na baat hamārī tale paḌe
dekh apne mailon ko ki hain dil jale paDe
pazhmurda, dil-fasurda dar upar Dhale paDe
chakki chali hai charKH ki danao dekh lo
dane bahut hain is mein to aise Dale paDe
oho ji de hi Dalo nikal aisi bhukh mein
tum kun to hain samose bahut se tale paDe
jab gir paDun hun panw pa kahte ho munh ko pher
tum chhoD sab ko pand hamare bhale paDe
jun jaanun be-kason ke tain ab nibah lo
hum sab taraf se haar tumhaare gale paDe
tera ho bol-baala samajh-bujh sher kah
dekh 'azfari' na baat hamari tale paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.