dekh dariya ko ki tughyani mein hai
dekh dariyā ko ki tuġhyānī meñ hai
tū bhī mere saath ab paanī meñ hai
nuur ye us āḳhirī bose kā hai
chāñd sā kyā terī peshānī meñ hai
maiñ bhī jaldī meñ huuñ kaise baat ho
tū bhī lagtā hai pareshānī meñ hai
mudda.ī sūraj kā saarā shahr hai
raat ye kis kī nigahbānī meñ hai
saare manzar ek se lagne lage
kaun shāmil merī hairānī meñ hai
dekh dariya ko ki tughyani mein hai
tu bhi mere sath ab pani mein hai
nur ye us aaKHiri bose ka hai
chand sa kya teri peshani mein hai
main bhi jaldi mein hun kaise baat ho
tu bhi lagta hai pareshani mein hai
muddai suraj ka sara shahr hai
raat ye kis ki nigahbani mein hai
sare manzar ek se lagne lage
kaun shamil meri hairani mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.