dekh darwaze se mujhko wo pari-ru haT gai
dekh darvāze se mujh ko vo parī-rū haT ga.ī
dekhte hī us ke merī jaan bas chaT-paT ga.ī
tum udhar dhote rahe muñh ham idhar rote rahe
rote-dhote do ghaḌī baare maze se kaT ga.ī
gard-e-kulfat bas-ki chhā.ī dil se tā āñkhoñ talak
nahr thī jaarī jo āñkhoñ kī mire so paT ga.ī
jī adā ne zulf ne dil hosh ġhamzoñ ne liyā
jins-e-hastī apnī sab ġhārat meñ aa kar baT ga.ī
parde hī parde meñ dil ko ḳhaak kar Daalā mire
is adā se vo parī muñh par liye ghūñghaT ga.ī
zulf gar chhidrī huī tere to mat khā pech-o-tāb
kyā huā az-bas uThā.e bojh dil ke luT ga.ī
kal jo merā ḳhush-nigah guzrā chaman se ai 'hasan'
muuñd lī bādām ne aañkh aur nargis kaT ga.ī
dekh darwaze se mujh ko wo pari-ru haT gai
dekhte hi us ke meri jaan bas chaT-paT gai
tum udhar dhote rahe munh hum idhar rote rahe
rote-dhote do ghaDi bare maze se kaT gai
gard-e-kulfat bas-ki chhai dil se ta aankhon talak
nahr thi jari jo aankhon ki mere so paT gai
ji ada ne zulf ne dil hosh ghamzon ne liya
jins-e-hasti apni sab ghaarat mein aa kar baT gai
parde hi parde mein dil ko KHak kar Dala mere
is ada se wo pari munh par liye ghunghaT gai
zulf gar chhidri hui tere to mat kha pech-o-tab
kya hua az-bas uThae bojh dil ke luT gai
kal jo mera KHush-nigah guzra chaman se ai 'hasan'
mund li baadam ne aankh aur nargis kaT gai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.