dekh in chiDiyon ko chiDiya-ghar na dekh
dekh in chiḌiyoñ ko chiḌiyā-ghar na dekh
lauT mat pīchhe ko yuuñ muḌ kar na dekh
hāthiyoñ kī piiTh par baiThā hai din
shaam se pahle koī manzar na dekh
apnī dīvāroñ se kuchh bāhar nikal
sirf ḳhālī ghar ke bām-o-dar na dekh
pattharoñ ke karb ko mahsūs kar
mere siine par rakhā patthar na dekh
kar gayā sūraj sabhī ko be-libās
ab koī saaya koī paikar na dekh
apnī nañgī chārpā.ī Dhāñp le
us ke bistar kī dhulī chādar na dekh
farsh par be-lafz āvāzoñ ko sun
hinhinātī ghoḌiyoñ ke sar na dekh
dekh in chiDiyon ko chiDiya-ghar na dekh
lauT mat pichhe ko yun muD kar na dekh
hathiyon ki piTh par baiTha hai din
sham se pahle koi manzar na dekh
apni diwaron se kuchh bahar nikal
sirf KHali ghar ke baam-o-dar na dekh
pattharon ke karb ko mahsus kar
mere sine par rakha patthar na dekh
kar gaya suraj sabhi ko be-libas
ab koi saya koi paikar na dekh
apni nangi chaarpai Dhanp le
us ke bistar ki dhuli chadar na dekh
farsh par be-lafz aawazon ko sun
hinhinati ghoDiyon ke sar na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.