dekh kar aapne mayus-e-tamanna mujhko
dekh kar aap ne māyūs-e-tamannā mujh ko
parda-hā-e-mah-o-anjum se pukārā mujh ko
jab bhī laġhzish huī qadmoñ ko sar-e-rāh-e-talab
aap ke ġham ne diyā baḌh ke sahārā mujh ko
be-ḳhudī kar ga.ī kaunain se begāna mujhe
ab na sāhil kī na tūfāñ kī tamannā mujh ko
maiñ ne duniyā kī har ik shai meñ tujhe yuuñ dekhā
apnā dīvāna samajhne lagī duniyā mujh ko
le uḌā manzil-e-maqsūd-e-mohabbat kī taraf
mere saaqī tirī nazroñ kā ishārā mujh ko
zarre zarre meñ tire husn kī ra.anā.ī hai
ḳhuld-bardosh nazar aatī hai duniyā mujh ko
kar ga.ī be-ḳhabar-e-sāġhar-o-mīnā ai 'soz'
chashm-e-sāqī se barastī huī sahbā mujh ko
dekh kar aap ne mayus-e-tamanna mujh ko
parda-ha-e-mah-o-anjum se pukara mujh ko
jab bhi laghzish hui qadmon ko sar-e-rah-e-talab
aap ke gham ne diya baDh ke sahaara mujh ko
be-KHudi kar gai kaunain se begana mujhe
ab na sahil ki na tufan ki tamanna mujh ko
main ne duniya ki har ek shai mein tujhe yun dekha
apna diwana samajhne lagi duniya mujh ko
le uDa manzil-e-maqsud-e-mohabbat ki taraf
mere saqi teri nazron ka ishaara mujh ko
zarre zarre mein tere husn ki ranai hai
KHuld-bardosh nazar aati hai duniya mujh ko
kar gai be-KHabar-e-saghar-o-mina ai 'soz'
chashm-e-saqi se barasti hui sahba mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.