dekh kar baam-o-dar ka sannaTa
dekh kar bām-o-dar kā sannāTā
bol uThtā hai ghar kā sannāTā
ai mohabbat ik āḳhirī āvāz
phir to hai umr bhar kā sannāTā
koī sūrat na koī ā.īna
dīdanī hai nazar kā sannāTā
likh rahī hai sahar ke māthe par
raat apne safar kā sannāTā
kyā yahī hai uḌaan kā mausam
aam hai bāl-o-par kā sannāTā
kis ko āvāz de musāfir-e-ġham
be-jahat hai safar kā sannāTā
āsmāñ par hai āḳhirī taarā
dam-ba-ḳhud hai sahar kā sannāTā
ho na ho koī aane vaalā hai
kah rahā hai ye ghar kā sannāTā
chaap qadmoñ kī bhī nahīñ hai 'ziyā'
ham haiñ aur rahguzar kā sannāTā
dekh kar baam-o-dar ka sannaTa
bol uThta hai ghar ka sannaTa
ai mohabbat ek aaKHiri aawaz
phir to hai umr bhar ka sannaTa
koi surat na koi aaina
didani hai nazar ka sannaTa
likh rahi hai sahar ke mathe par
raat apne safar ka sannaTa
kya yahi hai uDan ka mausam
aam hai baal-o-par ka sannaTa
kis ko aawaz de musafir-e-gham
be-jahat hai safar ka sannaTa
aasman par hai aaKHiri tara
dam-ba-KHud hai sahar ka sannaTa
ho na ho koi aane wala hai
kah raha hai ye ghar ka sannaTa
chap qadmon ki bhi nahin hai 'ziya'
hum hain aur rahguzar ka sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.