dekh kar dagh-e-dil-e-raushan ko hum
dekh kar dagh-e-dil-e-raushan ko hum
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
dekh kar dāġh-e-dil-e-raushan ko ham
bhuul baiThe lāla-e-gulshan ko ham
ab tirā dāman hai aur dast-e-junūñ
chhoḌte haiñ apne pairāhan ko ham
ho ga.e pāband-e-taslīm-o-razā
ab jhukā.e rakhte haiñ gardan ko ham
jis ke nāvak se huā hai dil shikār
bhūleñ kyūñ-kar aise tīr-afgan ko ham
gard-e-ġham jab se ki baiThī ham-nashīñ
muddatoñ jhaTkā kiye dāman ko ham
ham-safīro bas yahī qismat meñ thā
ro.e gulshan ham ko aur gulshan ko ham
ishq se 'mas.ūd' aajiz ho chuke
ab na deñge dil kisī pur-fan ko ham
dekh kar dagh-e-dil-e-raushan ko hum
bhul baiThe lala-e-gulshan ko hum
ab tera daman hai aur dast-e-junun
chhoDte hain apne pairahan ko hum
ho gae paband-e-taslim-o-raza
ab jhukae rakhte hain gardan ko hum
jis ke nawak se hua hai dil shikar
bhulen kyun-kar aise tir-afgan ko hum
gard-e-gham jab se ki baiThi ham-nashin
muddaton jhaTka kiye daman ko hum
ham-safiro bas yahi qismat mein tha
roe gulshan hum ko aur gulshan ko hum
ishq se 'masud' aajiz ho chuke
ab na denge dil kisi pur-fan ko hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.