dekh kar hum ko asir-e-arzu
dekh kar ham ko asīr-e-ārzū
aur bhī vo ho ga.e begāna-ḳhū
phaaḌ Daalā dast-e-vahshat ne jise
phir kareñ kyā is garebāñ kā rafū
phir sajāo mahfil-e-dār-o-rasan
muztarib hai phir zabān-e-guftugū
gar ziyāda se ziyāda hoñ gunah
kam nahīñ hai āyat-e-lā-taqnatū
mujh ko Dar lagtā hai apne shahr meñ
haiñ bahut ūñche yahāñ ke kāḳh-o-kū
jab bhī rut aatī hai patjhaḌ kī yahāñ
chuus letī hai bahāroñ kā lahū
rah ke 'najmī' ne pas-e-parda yahāñ
kar diyā hai sab ko mahv-e-justujū
dekh kar hum ko asir-e-arzu
aur bhi wo ho gae begana-KHu
phaD Dala dast-e-wahshat ne jise
phir karen kya is gareban ka rafu
phir sajao mahfil-e-dar-o-rasan
muztarib hai phir zaban-e-guftugu
gar ziyaada se ziyaada hon gunah
kam nahin hai aayat-e-la-taqnatu
mujh ko Dar lagta hai apne shahr mein
hain bahut unche yahan ke kaKH-o-ku
jab bhi rut aati hai patjhaD ki yahan
chus leti hai bahaaron ka lahu
rah ke 'najmi' ne pas-e-parda yahan
kar diya hai sab ko mahw-e-justuju
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.