dekh kar izn-e-tarab saqi-o-maiKHane ka
dekh kar izn-e-tarab saqi-o-maiKHane ka
Rasool Jahan Begam Bedil
MORE BYRasool Jahan Begam Bedil
dekh kar izn-e-tarab sāqī-o-maiḳhāne kā
jhuk ke muñh chuum liyā shīshe ne paimāne kā
sāz-e-ishrat se nikaltī hai sadā-e-mātam
kyā ye duniyā hai muraqqā mire ġham-ḳhāne kā
nazar aatī hai har ik but meñ ḳhudā kī sūrat
silsila ka.abe se miltā hai sanam-ḳhāne kā
aaj vo mahfil-e-aġhyār meñ aatā hai nazar
dil mirā aa.ina hai jis ke parī-ḳhāne kā
haram-o-dair meñ kis tarah lage dil us kā
jis kī nazroñ meñ ho naqsha tire kāshāne kā
'bedil' is tarah se kuchh umr basar kī maiñ ne
zindagī kā huā itlāq na mar jaane kā
dekh kar izn-e-tarab saqi-o-maiKHane ka
jhuk ke munh chum liya shishe ne paimane ka
saz-e-ishrat se nikalti hai sada-e-matam
kya ye duniya hai muraqqa mere gham-KHane ka
nazar aati hai har ek but mein KHuda ki surat
silsila kabe se milta hai sanam-KHane ka
aaj wo mahfil-e-aghyar mein aata hai nazar
dil mera aaina hai jis ke pari-KHane ka
haram-o-dair mein kis tarah lage dil us ka
jis ki nazron mein ho naqsha tere kashane ka
'bedil' is tarah se kuchh umr basar ki main ne
zindagi ka hua itlaq na mar jaane ka
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 303)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.