dekh kar log hue shashdar-o-hairan mujhe
dekh kar log hue shashdar-o-hairān mujhe
tū kahāñ hai shab-e-ġham aan ke pahchān mujhe
qais-o-farhād har ik gaam pe aate haiñ nazar
jaane kis dasht meñ laayā mirā vijdān mujhe
vaqt kā hai ye taqāzā ki maiñ ab chup na rahūñ
aap kyuuñ dekh ke hone lage hairān mujhe
ab to har phuul bhī kāñTe se sivā lagtā hai
gulshan-e-zīst nazar aatā hai vīrān mujhe
aap ke jaane se mahsūs kiyā hai dil ne
zindagī chhoḌ ga.ī be-sar-o-sāmān mujhe
mushkileñ merī tabī.at ko haiñ marġhūb bahut
zindagī chāhiye hargiz nahīñ āsān mujhe
dekh kar log hue shashdar-o-hairan mujhe
tu kahan hai shab-e-gham aan ke pahchan mujhe
qais-o-farhad har ek gam pe aate hain nazar
jaane kis dasht mein laya mera wijdan mujhe
waqt ka hai ye taqaza ki main ab chup na rahun
aap kyun dekh ke hone lage hairan mujhe
ab to har phul bhi kanTe se siwa lagta hai
gulshan-e-zist nazar aata hai viran mujhe
aap ke jaane se mahsus kiya hai dil ne
zindagi chhoD gai be-sar-o-saman mujhe
mushkilen meri tabiat ko hain marghub bahut
zindagi chahiye hargiz nahin aasan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.